|
|
|
|
| Author | Topic: My Poetry |
| M Munir Qasim |
posted 6/15/05 12:56 AM
Dear vieweresAssalam-o-alykumMain nay apni maqdoor phar kawish aap kay samnay rakh di hay. Iss kawish kay do pehloo hain. Aik mayri shairi (jo bunyaadi cheez hay) aur doosri mayri web designing skill (yeh saanvi hay). Aap in doonoon pehlo'oon per azihaar-e-raay kar saktay hain. http://mmqaism.1cis.com My Poetry Web |
| Jawad |
posted 6/16/05 3:29 AM
Nice poetry. |
| Mirza Aamer |
posted 6/16/05 7:58 AM
A/AAap ki poetry parhi dil ko buhat ache lagee, khas toar par aap ki ghazal ashaqai kahani.Umeed hai ainda bhi aap aisee achee ghazlee likhain gaiwith best regardsMirza Aamer |
| Mirza Aamer |
posted 6/16/05 7:58 AM
A/AAap ki poetry parhi dil ko buhat ache lagee, khas toar par aap ki ghazal ashaqai kahani.Umeed hai ainda bhi aap aisee achee ghazlee likhain gaiwith best regardsMirza Aamer |
| aahan |
posted 7/14/05 11:55 AM
m qasim sahib aap ki shairee kamaal e zauq ki tafseer hay laikin choonkeh har aik koshish tishna e takmeel rehti hay, main nay aap ki ghazal "samjha rahee hain bulbulain baghon k darmian" main aik shairaana ghaltee nikalee hay ummeed hay aap is par nazar e saanee karein gay. is ghazal k 6th sher main aap nay likha hay" dil badshah e waqt umar hay kaneez e waqt" is misray main "umar" ka jo talaffuz aap nay istamaal kia hay woh meray khayal main saheeh naheen hay aur saheeh talaffuz istamaal karnay par sher wazan say girnay ka khadsha hay. i hope aap isay , basoort e deegar mujhay correct kar dein gay. shukariya |
| M Munir Qasim |
posted 7/14/05 2:14 PM
Dear aahan.....main aap ki bareek beeni ki daad dayta hoon. Yeh ghalti mayray ilm main hay, aur main jald he iss ko correct karnay wala tha. Sahe talafaz hay "UMR" aur parah jata hay "UMAR". Mujhay khushi hoi keh aap nay mary shairi ko ghaur say parha. main aainda bhi aap say tawaqu karoon ga keh nishaandahi farmatay rahain. Aur ab tu mujhay yaqeen ho gia hay keh aap khud bhi likhtay hain. Aap apna kalaam bhaijain. main muntazir hoon.....Regards |
| Faani |
posted 8/11/05 12:27 AM
Asslam-o-alaikum to all ..... umeed hay aap log theek hon gay.kafi dino kay baad forum per hazri hoi hay.Munir qasim sahib ke poetry kafi din pehlay padhi.Alfaz ka chunao aor tarakeeb kamal ke hay.In ke poetry main kutch galib ka andaz hay jo insan per ghalib aaj jata hay aor usay sometime pata nahi chalta keh sher ka matlab kia hay.halan keh padhnay walay ko poetry per ghalib aa ker padhna chahiey.in ke poetry say her koi mustafeed nahi ho sakta.in ko chahiey thoda aaaam feham bhi likha karin.baqi in ke poetry bay misal hay balkeh kamal hay.Slam to every body.BYE......IRfan |
|
Munir Qasim (Moderator) |
posted 1/4/06 7:01 AM
Dear readers.. IPaki is one of the leading urdu webs of Pakistan. They have published some of my kalaam on their web. You can see it by clikcing on the link given below http://www.ipaki.com/urdu/user_poetry/munir-qasim/index.php My Poetry on PakiWeb |
| sadia |
posted 1/5/06 4:27 PM
congratulations....lakin is site pe kuch words misplace hain...i mean haroof e tahaji main se..shayad koi supported programme chahye. |
| Munir Qasim |
posted 1/5/06 5:52 PM
Thanks.... words iss leay missed hain keh aap kay PC main urdu fonts installed nahee hain. Uss web per top left corner main urdu fonts donwload karnay la link hay. Uss per click kar kay aap fonts download aur install kar saktay hain. Jab fonts install ho jaain gay tu tamaam words theek nazar aain gay. Yeh alag baat keh unhooN nay zair zabar paish ka istimaal nahe kia. |
| Meena |
posted 1/7/06 7:25 PM
Aap ki ghazal "Dil kyuN udaas hai"be misal hai.........! meena |
| Munir Qasim |
posted 1/12/06 5:44 PM
Thanks a lot Mena.. keep visiting for more and more kalaam..Regards |
| Mohsin Jamil |
posted 1/12/06 6:42 PM
Assalma-o-Alaikum Qasim bahi kia hall ha ap ke poery bohat ache ha i lick it |
| Adnan |
posted 3/18/07 11:34 AM
Sir, I didn't expect that I would find something good here. But honestly, you are good at it. I am not saying you are the best but definitely you are above average. I read your poem Hamzaad and it really impressed me. Keep polishing your skills and best of luck for your future. Wassalam & Regards. http://www.pak-point,com It's a general discussion forum that contains a poetry section too. You can check my collection over there. |
| Adnan |
posted 3/18/07 11:38 AM
Sorry members, I wrote the URL of my website but there is a mistake in that. Here is the correct one: http://www.pak-point.com |
| Hasnain |
posted 6/17/07 10:29 PM
very nice poetry, keep up the good work! |
|
|